Blog Website Hack Hone Se Kaise Bachaye | Security Tips Hindi

Blog Ya Website Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye - Friends aapke pas blog Website hai to use secure rakhna bahut jaruri hai. Aaj ke time me Internet par bahut se kam aasan ho gaye hai. Isliye log yahan online work par bahut jyada focus karte hain aur apni ek website create karte hai. Lekin unhe jara sa bhi andaja nahi hota unka blog website hackers dvara hack ho jata hain.



Technology ke time me bahut blog & website hack ho rahi hai to bhi log apne blog ki security ke bare me kuchh bhi dhyan nahi dete hain. Yah to aap achhi tarah se jante hai ki free blog website create karna bahut aasan hai lekin us par ham jo articles publish karte hain vo kitne importance hote hain. Hamari kadi mehanat ke bad ek unique and original article complete hota hai.

Agar vahi na rahe aur hack ho jaye to hame kaisa lagega. Fir ham bahut sad ho jate hai lekin bad me pachhtane se koi fayda nahi. Isliye hame blog website ko hack hone se bachana hamari first jimmedaaree hai.

blog hack hone se kaise bachaye, wordpress website hack hone se kaise bachaye, blogger blog ko hack hone se kaise bachaye, website hack hone se kaise bachaye, how to protect your blog website from being hacked, blog ko kaise secure kare, security tips



Website And Blog Ko Hack Hone Se Kaise Bachaye?


Blog Or Website Ko hack hone se bachna hia to hamne jo niche security tipske bare me jo bhi points diye hai unhe aapko follow karna hai.


Enable 2 Step Verification Enable


Sabse pahle aapko apne google account me two step verification enable karke rakhna bahut jaruri hai. Agar aap blog website create karte hain to aapne 2 step verification ke bare jarur suna hoga. Ise app active karte hain to hacker ko aapke google account ka username and password pata hoga to bhi vo aapke account ko login nahi kar payega. Kyo ki jab bhi koi aapke account ko open karne ki koshish karta hain to aapko security notification mil jayega aur usse aap samajh jayenge.

Aap two step verification enable karke rakhte hain to blog website hack hone ke chances bahut kam ho jate hai. Agar aapko 2 step verification enable karna nahi aata hai to hamne is par ek article likha hua hai.

Google Gmail Account Me 2 Step Verification Enable Kaise Kare


Use Strong Password


Jab bhi ham apna account create karte hain to usme jo password use karte hain agar vo strong nahi hoga to koi bhi use aasani se use kar sakta hain. Hacking ke name se hi aapko pata chal gaya hoga aur iske bare me aapne suna hi hoga.

Bahut se hackers hai hote hain jo hame pata bhi nahi chalne dete aur hamari har activity par vo log najar rakhte hai. Agar ham thodi si bhi laaparavaahee karte hain to turant hi vo log hamare google account ko hack kar lete hain. Isliye hame apne account ke strong password ke sath special character vala username dena jaruri hai.


Use A Good Anti-Virus


App apne PC ya Laptop me Blogging kar rahe hai aur anti virus ka use nahi karte hain to hackers ke liye ek khula rasta aap de rahe hai. Kyoki iske bina aapko jara bhi pata chale aapke account ko hack kar lenge.

Agar aap Anti-virus ka use karte hain to aapke computer ko koi bhi aasani se hack nahi kar payega. Jab bhi aap apne PC me koi bhi software install karne ki koshish karte hain to anti-virus aapke system me security notification send karta hai. Isliye hame apne computer and blog & website ko hack hone bachana hai to anti-virus ka use karna chahiye.


Do Not Make Anyone Else An Admin


Blogger ke blog me ham jitne chahe utne admin bana sakte hain. Ve log hamare blog website ko manage kar sakte hain aur usme post bhi publish kar sakte hain. Agar aap kisi ko sirf post karne ke liye add karna chahte hain to add kar sakte hain.

Lekin ek bat ka dhyan rahe ki kabhi bhi kisi aise vyaki ko admin na banaye jo aapke sare kam ko bigad de. Kahne ka meaning yah hai ki jis par aapko jyada believe ho us insan ko hi admin banaye.


Don't Use Crack Themes


Yahan par sabse badi galti vahi log karte hain jo log paid theme ki jo crack Virson free theme hoti hai uska use karte hain. Vah log yah sochte hai ki ham log isse thode bahut paise bacha lenge. Lekin yah galati aap bhi karte hain to aapka blog aasni se hack ho jayega.

Agar hame apne Blog Website ka Design achha karna hai to bahut se free theme hai uska use kar sakte hain lekin paid theme ko free me use karte hain to sahi nahi hai. Aapko koi premium template use karna hai to use buy karke apne blog website me laga sakte hain.


Don't Use Free Public Wi-Fi Internet 


Bahut se log free me Internet ka use karne ke liye public wi-fi ka use karte hain aur apne account ko login karke apna work karne lag jate hain. Thode dino bad unka account hackers dvara hack ho jata hai aur unhe pata bhi nahi chalta. 

Isliye aapko free public wi-fi ka use nahi karna hai. Agar karna hai to koi bhi app ya movie download karne ke liye kar sakte hain. Fir bhi aapko uska istemal karna hai ti VPN ka use karke kar skate hai. 

Ham to aapko yahi kahenge ki aapko free me interest ka upyog karna hai to kariye lekin apne kisi bhi social ya google account ko login kabhi bhi login mat karna. Varna iske bad aapko bahut problems ko face karna pad sakta hai. 


Backup Your Blog & Website


Aapke pas blog website hai to use regularly backup file ko download karte rahna chahiye kyo ki Yah point bahut jaruri hai. Isse aapko yah fayda hota hai ki jab bhi koi hackers aapke account ko hack kar leta hain to aapke pas pahle se hi backup file hia to use vapish recover kar sakte hain.

Isliye ham aapko yahi recommend karenge ki aapko everyday apni website ka backup lena ati aavashyak hai.

Agar aap WordPress or Blogger me apni site hai to uska backup is tarah se le sakte hain.

Blogger : Go to settings > Other > Backup Content

WordPress : Go To WordPress Dashboard > Tools > Expert


Enable HTTPS Security In Your Blog


Aapne Blogger me apna blog create kiya hai to vahan par google ke dvara di gai free me HTTPS security ko enable kar lena hai. Ise enable karne se koi bhi hackers aapke account aur blog data ko hack nahi kar payega. Isliye aapne abhi tak ise active nahi kiya hai to jaldi se kar lena. Isme aapka hi fayda hai. Blogger me https kaise enable kare uske bare me hamne article likha hai aap use read kar sakte hain. 

Blogspot Blog Me Https Enable Kaise Kare


Always Use Latest Virson 


WordPress par apni website ko build kiya hai to aapko iske latest virson ko update karte rahana bahut jaruri hai. Agar aap ise update nahi karte hain to old virson me hacking hone ka khatra badh sakta hain. Isliye jab bhi iska latest virson aaye to use update kar dena hai.


Don't Share Your Password To Anyone 


Kuchh log kisi dusre par yakin karke apne google account ke password ko de dete hain. Lekin unhe is bat ka jara bhi andaaja hahi hota hai ki vo vykti aapke account ko login karke aapke blog website me kuchh bhi changes kar sakta hai. Isliye aapko kabhi bhi apne account ke password ko kisi ko bhi batana nahi hai.




Conclusion


Hamne jo bhi Security Tips & Tricks aapko batai hai unhe aap follow karte hai to apne blog website ko hackers dvara hack hone se bacha skate hai. Ummid karte hai ki aapko yah article How To Secure Website & Blog From Hackers In Hindi? Jarur pasand aayega.

Is article ke related aapke jo bhi saval ho use aap comment box me puchh sakte hain. Agar aap hamari help karna chahte hia to ise social media jaise ki whatsapp par jarur share karen.



Tags

blog hack hone se kaise bachaye 
website hack hone se kaise bachaye 
how to save blog website from hacking
wordpress hack hone se kaise bachaye 
blog ko kaise secure kare
website ko hacker se kaise bachaye
security tips and tricks 
teach bhawani singh 
security tips in hindi
blogger blog ko hack hone se kaise bachaye 
how to protect your blog website from being hacked

Previous
Next Post »