YouTube Video Tag Generate Kaise Kare Aap jab bhi youtube par jate hain to vahan aapko videos dekhne ko milti hai ya aap search karte hai to yah sab kaise aati hai yah saval aapke mind me jarur aaya hoga. Ham jo bhi information youtube par lena chahte hai to vahan ham jo bhi keyword search karte hain to bahut sari videos hamari screen par aa jati hai.
Youtube video viral aur good SEO karne ka sabse important role tag ka hota hai. Bina tag koi bhi video renk nahi ho pata hai. Youtube video ke liye tag kaise lagaye aur sahi tarika kya uske bare me janne ke liye aap sahi jagah par hai. Kyon ki ham youtube videos me ek bhi tags nahi lagayenge to vo kabhi bhi search results me nahi jayega.
Aap jo bhi video apni channel par kisi bhi topic ke bare me upload karna chahte to uske related hi tag add hone chahiye. Lekin tag ko find karna itna aasan nahi hai aur aapko pata hai ki jab youtubes tag ko search karne me bahut time laga dete hain. But internet par aise bahut se tools and app available hai jiski help se aap aasani se youtube tag generat kar sakte hain.
Agar aapke pass Youtube channel hai to usme app videos bhi upload karte honge. Lekin aapki video viral nahi hoti hoga ya fir search results me bhi nahi aati hogi. Yah sab kyon hota hai isaka javab aapko is article ko padhne ke bad mil jayega.
Video Tag Generator Tools And App
Jab bhi YouTube par videos upload hoti hai to vahan title and description ke sath tag bhi hote hai. Yah isliye karna jaruri hai kyon ki iske aadhar par hi jab koi video me jo tag use kiye gaye use search karta hai to vo turant first page par aa jati hai.
Video ko viral karne ke liye tag ko sahi tarike se generate karna bahut jaruri hai. Ab niche kuchh tools and app ke bare me batayenge jiski help se aap tags generat kar payenge.
⇒ Rapid tags
⇒ Kparser
⇒ Keyword keg
⇒ Keyword tool
⇒ UTag app
Hamne jitane bhi tools and app ke bare me bataya hai vo sab kisi bhi youtuber ke liye apne youtube video ke topic ke hisab se SEO Optimize tags generat karne ke liye help kar sakte hai. Yahan par kuchh tools free hai aur kuchh paid hai. Lekin isme Repid tags sabse best hai online tag generat karne ke liye.
YouTube SEO Kaise Kare YouTube Channel Hack Hone Se Kaise Bachaye
Youtube Video Par Tags Lagane Ka Sahi Tarika
Sahi tarike se tags lagane se aapki video browser features me ja sakti hai aur kisi ke bhi video ke niche suggestion me ja sakta hai ya fir youtube search list me bhi ja sakta hai.
Tag ka means yah hai ki keyword. Agar koi bhi viewers youtube par koi bhi topic search karta hai to us topic ka keyword aapke video me hai to aapki video use sabse pahle dikhai degi.
Aapne dekha hoga ki jis bhi phone me youtube video auto play enable hota hai to uski video khatm hone ke bad hi turant dusri video aa jati hai. Lekin yah video kiski hogi kise bhi pata nahi hota. Agar aapne us keyword ko apne video me use kiya hai to vo video vahan par jarur show hogi.
Yah sab youtube tags ke jariye karta hai isliye sahi tarike se tag ka upyog karna bahut jaruri hai. Ab bat karte hai ki tag kitne prakar ke hote hain.
⇒ Short Tags
⇒ Long Tags
⇒ Miss Spell Tags
Short tags
Short tag ka means yah hai ki aapne jis topic par video create ki hai uska main keyword kya hai us hisab se short tag ko generate kar lena hai. Kyon ki youtube me bahut se log short me hi keyword ko search karte hai.
Long tags
Long tags ka means hai ki ham jo apni video upload karte time jis tags ka use karte hai usme jo keyword hote hai use long text me convert karke lagate hai. Jaise ki aap jis bhi topic par jo video create kiya hai use dusre log kis tarah se search karte hain us hisab tag ko generate karke lagana.
Miss spell tags
Miss Spell Tags ka means yah hai ki bahut se log hai jinhe english nahi aati hai jo log youtube par jab bhi search karte hai to spelling mistakes kar dete hain aur kuchh bhi likhkar search kar dete hain. Ab aapko apne video ke topic ke anusar log use kis tarah se spelling mistakes karenge us hisab se tags ko generate kar lena hai.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye
YouTube Kya Hai
YouTube Video Tag Generate Kaise Kare?
Youtube video ke liye tag generate karne ke liye yah sab tag generator web ko download karne ki jarurat nahi hai. Aap ne Rapid Tag ke bare me suna hi hoga and maybe bahut se log iska use bhi kar rahe honge. Lekin har bar yah website open nahi hoti hai. Isliye ham aapko ek app ke jariye tag generat karke batane vale hai. Iski help se aap high renking tag ko find karke apne video me yahan se copy karke direct laga sakte hain.
Step 1
First aapko apne mobile me play store ko open kar lena hai aur vhana par jo search box hai usme Utag likhkar search karna hai. Ab aapke samne jo app dikhai de rahi hai use download kar lena hai.
Step 2
Second step me aapko YouTube par aa jana hai aur vahan par aapne jis topic par video create karna chahte hain ya kar diya hai to use vhan par search karna hai. Ab aapke samne jo bhi video show ho rahi hai use share ke option par click karke video link ko copy kar lena hai. Isse aapka yah fayda hoga ki jo bhi video viral hogi uska tags use karke aap apni video me jyada view prapt sakte hain.
Step 3
Aapne jo Utag app download kiya hai use open karna hai. Jaise hi aap app ko open karenge to aapko yahan Click hear to explore tags likha hoga us box par aapko click kar dena hai. Uske bad aapke samne ek chhota sa box opne hoga usme aapne jo video link copy kiya tha use paste karke OK par click dena hai.
Step 4
Ab aapko jo tags show ho rahe hai use copy kar lena hai aur aap customize karna chahte to kar sakte hain. Uske bad ise apne youtube video me laga sakte hain. Is tarah se aap jitne chahe utne unique and original tags generate kar sakte hain.
Agar jis topic par video create kar rahe aur vo video youtube par nahi hai to dusre tags ka istemal karke ya fir Rapid Tags ka use kar sakte hain.
Youtube video me tag generat kaise kare iska sabse aasan tarike se javab aapko utag app ya fir rRapid tags ka use karke mil gaya hai. Because iska istemal koi bhi new youtubes aasani se kar sakta hai aur kahin jane ya sikhne ki jarurat bhi nahi padegi.
YouTube Channel Kaise Banaye
How To Customize YouTube Channel Step By Step
Conclusion
Friends I hope aapko achchhi tarah se samajh me aa gaya hoga ki Youtube Video Me Tag Lagane Ka Sahi Tarika Aur Tag Generate Kaise Kare? Jisme hamne aapko jo bhi tag generator tools and app ke bare me bataya hai vo aapke liye jarur helpful sabit honge. Is article se related aapke jo bhi question hai use aap comment box me puchh sakte hain.
Tags
youtube tags
tags video
youtube
youtube ranking tips
youtube video tag kaise kare
youtube tag generator tools
how to tag youtube
youtube tags kaise lagate hai
high rank youtube tag
youtube seo tool
how to write best tags on youtube video
how to find tags for youtube video
youtube video viral
how to viral video on youtubr
teach bhawani singh
youtube video par tags lagane ka sahi tarika
1 Comments:
Click here for Commentshttps://www.buyyoutubeviewsindia.in/youtube-marketing/
ConversionConversion EmoticonEmoticon