Blog Ko Yandex Webmaster Tools Me Kaise Add Kare - Hello Friends hamari Website me aapka welcome hai. Blog me high traffic lane ke liye use search engine me submit karna bahut jaruri hai.
Aapne ek blog banaya hai aur use google and bing webmaster tools me submit bhi kiya hoga lekin yandex webmaster tool me submit nahi kiya hoga. Agar app apni site ko popular karna chahte hai to use yandex se connect karna chahiye.
Is article me ham sab jan rahe hai ki "How to submit site to yandex webmaster tools" Lekin aapne abhi tak apne blog ko Google Webmaster Tools or Bing Webmaster Tools ke sath joda nahi hai to hamare article ko padh sakte hain jisme hamne puri details ke sath bataya hua hai.
Yandex Kya Hai Aur Site Ko Submit Karna Kyo Jaruri Hai
Jis Tarah Se Google aur Bing search engines hai usi tarah yandex bhi ek search engine he. Ham yahan par apni new site ko add karenge to bahut hi jaldi unique traffic milta hai. 2011 me ise launch kiya gaya tha.
Yah ek free service hai jo hamari site ko search results me fast index karne me help karti hai. Isse sabse bada fayda yah hota hai ki thode time me blog ki renking incarege hoti hai.
Aap unique and original content likhte hain to viral karne ke liye is tarah ke jitne bhi Webmaster Tools hai uske sath blog ko connact karna hi chahiye.
Agar Aap apne Blog Website ko yandex me submit karna chahte hai to is article ko and tak padhe aur ham jo step batate hai use aapko follow karna hai.
Website Ko Yandex Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Aapne Jis tarah se google or bing search engine me blog ko add kiya hai thik usi tarah isme bhi yahi prossess hai. Bas thoda sa dhyan dena hai aur ham steps ke sath aapko puri details me yandex me add karke bataynge.
Step 1
Sabse pahle aapko niche diye website ke link par click karna hai.
webmaster.yandex.com
Ab aapko yandex me apna account create karna hai. Uske liye aap jaise hi is link par click karenge to aapke samne 2 options dikhai denge.
Log in
Aapko in dono me se Log in par click karna hai. Uske bad Google ka icon dikhai dega us par click karke aap jis bhi gmail id par apna yandex account banana chahte hai vo select kar lena hai.
Step 2
Ab aapke samne jo new page open hua hai usme aapko Add site likha hua dikhega us par click kar dena hai.
Uske bad aapko jo box dikhai de raha hai vahan par apni Site Url ko paste karna hai aur Add par click kar dena hai.
Yahan par aapko dhyan dena hai ki aapke samne jo page dikhai de raha hai usme aapko jo Code diye gaye hai use verify karne ke bad hi aapki site yandex se connect ho payegi.
Meta tag ke through aap apne blog ko verify karna chahte ho to pahle aapko jo Code diye gaye hai use copy kar lena hai.
Uske bad aapko apne blog me login kar lena hai aur Theme likha hai us par click karke Edit HTML par click kar dena hai.
Ab aapko first <head> ko search karna hai aur uske niche jo yandex verification Code copy kiye the use paste kar dena hai. Yah karne ke bad upar Save Theme likha hai us par click kar dena hai.
Fir se aapko yandex me aa jana hai aur Check likah hai us par click kar dena hai. Is tarah se aapka blog yandex webmaster tools me submit ho jayega.
DNS Verification
Agar aap DNS verification karna chahte hai to jis bhi platform se domain buy kiya hai us site par chale jana hai. Vahan par Manage DNS likha hoga us par click kar dena hai. Uske bad is steps ko follow karna hoga.
Yahan par Add likha hua hai us par click karke TXT ko select kar lena hai.
Uske bad Host likha hai uske niche jo box hai usme @ likhna hai.
Ab jo TXT Value ke niche jo box hai usme aapko yandex dns verification code hai use yahan par paste kar dena hai.
Last me Save likha hoga us par click kar dena hai. Uske bad aapko yandex me aa jana hai aur Check likah hai us par click kar dena hai.
Yandex Webmaster Tools Me Sitemap Submit Kaise Kare
Jab aap apne blog ko yandex me add kar lete hai. Uske bad sitemap submit karna bahut jaruri hai kyon ki bina sitemap add kiye aap apne post ko index nahi kar payenge.
First aaoko Indexing likha hai us par click karna hai. Second aapko Sitemap files likha hai us par click karna hai.
Yahan aapko jo niche Sitemap diya gaya hai usme yoursite ki jagah aapko apni site ka url likh dena hai.
https:// yoursite.com/sitemap.xml
Ab aapke samne jo box dikh raha hai vahan par aapne jo sitemap create kiya hai use paste karne ke bad Add par click kar dena hai.
Yandex Webmaster Tools Me Article Ko Add Kaise Kare
Aapne yandex me blog aur sitemap ko add kar diya hai to uske bad post ke url ko submit karna jaruri hai. Index karne ke liye niche bataye gaye steps ko follow kare.
Jahan par Indexing likha tha uske niche jo Options hai. Unmese Reindex pages likha hai us par click kar dena hai.
Ab jo new page open hoga vahan par ek bada box dikhai dega usme aapko apni kisi bhi blog post ka link copy karke yahan par paste kar dena hai. Uske bad Send par click kar dena hai.
Is box me aap par day 20 articles ke url add kar sakte hai.
Conclusion
Friends Ummid karte hain aapko yah article jarur pasand aayega. Google se traffic milta hi hoga aur yandex webmaster tools me apni site ko add karne ke bad aapko yahan se bhi achcha traffic milega. Agar yah lekh helpful lagta hai to Whatsapp jaise social media par jarur share kare.
Tags
yandex webmaster tools
ConversionConversion EmoticonEmoticon