WhatsApp Update New Feature 2020 Whatsapp ek popular massaging app hai jis par log bahut jyada time bitate hai. Yahan par whatsapp ne apne users ke liye bahut hi interesting feature ko update kiya hai jiske bare me ham bat karne vale hai.
Yah to aap jante hi hai ki aaye din whatsapp new update deta hi rahta hai aur kuchh naya launch karta rahta hai. Lekin is bar usne alag hi feature ko launch kiya hai jise dekhne ke bad aap happy ho jayenge. To chaliye ab whatsapp ke 5 new feature ke bare me step by step jante hai.
WhatsApp New Update Five Features 2020
WhatsApp jab aaya tha tab uske bare me kisi ko bhi itna knowledge nahi tha aur usme bahut hi kam feature available the. Lekin dhire dhire isme kahin changes aane lage. Kuchh week pahle whatsapp ne apni android app kahin updates diye hai.
World ke log today ke time me whatsapp app ka use karte hai aur yah sabse tej grow karne vali aap hai. Yahan par ham aasani se kisi ke sath message and video & voice call ke through bat kar sakte hain.
WhatsApp Group Call Limit Increased.
Pahle kya hota ki ham jab bhi whatsapp par grupe me bat karte the tab ham sirf 4 members se hi bat kar pate the. Lekin ab aisa nahi hai grupe me bat karne ke liye whatsapp par abse 8 members ek sath add karke voice & video call kar payenge. Whatsaap ne users ki sankhya ko double kar diya hai.
WhatsApp Forward Limit
Yah feature whatsapp ne isliye launch kiya hai ki unki team ka kahna yah hai ki is app par log fake news, galat massages dusre logon ko forward karte rahte hai. Company ka dava hai ki pure world me yahan par 70 percent reduction tak log ek dusron ko faltu me message send karte hain. Isliye pahle ham jab kisi message ko send karte to 5 logon tak pahuchta tha lekin ab aisa nahi hai. Abse is future ke bad ham ek message ko 1 hi person ko send kar payenge.
WhatsApp Lock Feature
WhatsApp ke is feature ka wait bahut log kar rahe the aur iski mang bhi kar rahe the. Abhi kuchh time pahle hi whatsapp ne Android or iOS app me Authentication System released kiya hai. Yah karna isliye jaruri tha ki logon ke account hack hone ki complain bar bar aa rahi thi. Abse iske jariye users apni chat ko private kar sakte hain. Users Settings > Account > Privacy > Fingerprint Lock me jakar apni chet ko secure kar sakte hain.
Call Waiting Support
Aap jab bhi kisi bhi person ke sath call ke through bat kar rahe hai to is feature ke bad aap whatsapp par aane vali koi bhi call ko receive kar sakte hain. Pahle ek call chal rahi hai us par dusri call whatsapp app me aa rahi hai to call atten karne ka koi option nahi tha. Yahan tak ki jab yah feature nahi aaya tha tab hamen pata bhi nahi chalta tha ki whatsapp par kiski call aa rahi hai.
New Group Privacy Settings
Jab bhi koi aapka friend whatsapp par new grupe create karta tha to vo bataye bina aapko usme add kar deta tha. Lekin is setting ke bad abse koi bhi aapki permission ke bina aapko grupe me add nahi kar payega. Is feature ko bahut logon ne like kiya hai kyon ki log unhe faltu ke jo kisi kam ke grupe nahi hai usme add kar dete the. Iske liye Users ko Settings > Account > Privacy > Grupe > Nobody ko select kar lena hai.
WhatsApp 2 Step Verification Enable Kaise Kare
Ek Mobile Phone Me 2 WhatsApp Kaise Chalaye
WhatsApp Online Last Seen Hide Kaise Kare
Conclusion
Friends hamen ummid hai ki aapko yah whatsapp ke five new features jarur pasand aayenge aur inke bare me information prapt karke aap happy bhi honge. Agar yah article helpful lage to ise social media par jarur share karen.
Tags
whatsapp new features 2020
whatsapp features
top whatsapp features
best whatsapp features
features on whatsapp
whatsapp group settings
whatsapp new features
whatsapp tips in hindi
whatsapp new update
whatsapp 2020 version
whatsapp new privacy settings
whatsapp lock
ConversionConversion EmoticonEmoticon