How To Create Dailyhunt Publisher Account - Approval Trick

How To Create Dailyhunt Publisher Account Friends hamari website Teach Bhawani Singhme aapka welcome hai. Aaj ke is article me hum sab janne vale hai ki dailyhunt par apna publisher account kaise create karte hai.

Dailyhunt ke bare me aap me se bahut se logon ne suna to hoga hi aur kuchh log yahan par work bhi kar rahe honge. Lekin jin logon ko is ke bare me koi knowledge nahi hai unke liye yah article helpful hone vala hai.



YouTube par to aapne dailyhunt ke bare me bahut videos dekhi hingi aur use dekh kar aapne is par apna account bhi banaya hoga. Lekin yahan par aapko approval mila hoga ya nahi yah to me nahi janta. Jinka dailyhunt creator account approve nahi hota hai vah log firse youtube par jate hai aur videos dekhte hain.

Tab Youtubers kahte hai ki aap log dailyhunt ki official website par jakar inki jo contact email id hai us par inhen email send kariye aapka account approved ho jayega. Ho sakta hai aap me se bahut se logo ne yah bhi kiya hoga to bhi koi fayda nahi hua. Isliye ab me jo aapko trick bataunga usse 100 present aapko dailyhunt par approvel mil jayega.

how to create dailyhunt publisher account, dailyhunt par account kaise banaye, dailyhunt publisher account




How To Create Publisher Account On Dailyhunt.


Dailyhunt par Creator banne ke liye aapke pas Blog, YouTube Channel, Facebook ya Instagram Account hona chahiye. In me se koi ek account aapke pas hai to aapko bahut hi jaldi approval mil sakta hai.

Dailyhunt par aap kis tarah se paisa kama sakte hain uske liye me ek alag article me batanga lekin usse pahle ham dailyhunt par apna publisher account kaise banate hai vo jan lete hain.


Step 1


Sabse pahle aapko dailyhunt par creator account register karne ke liye niche diye gaye website ke link par click karna hai.

Dailyhunt Creator 


Step 2


Jaise hi aap website par click karenge to aapke samne niche jo image me dikhai de raha hai vesa hi aapko dikhai dega.

Aapke pas 2 options hai.

1 Facebook
2 Google Account

In dono options me se me to aapko yahi recommend karunga ki aap dailyhunt par apne Google account se hi Sign up karen.

Jab aap Sign In With Google par click karenge tab aapko apni vahi gmail id select kar leni hai jis par aap dailyhunt publisher account create karna chahte hai.

how to create dailyhunt publisher account, dailyhunt par account kaise banaye, how to create publisher account on dailyhunt


Step 3


Ab aapke samne jo new page open hoga usme yah sab likhna hai.

1 Phone Number : Yahan par aapko vahi mobile number dene hai jo aapke pas hai aur active bhi hai.

2 Link : Ismen aapko apne Blog url, YouTube channel link, Facebook ya Instagram ka link dena hai.

3 I agree to : Iske samne jo box dikhai de raha hai us par aapko tick kar dena hai.

Jab aap yah sab details complete kar dete hain to uske bad Submit likha hai us par click kar dena hai.

Ab aapka account under review me chala jaega aur aapke samne pending likha hua dikhega.

Bahut se log kahte hai ki aapke pas apna Blog hai to hi aapko dailyhunt par approvel milega. Aisa kuch bhi nahi hai aap chahe to Instagram account ka link de sakte hain kyon ki mene bhi yahi link diya tha aur muje approval mil gaya.

how to create dailyhunt publisher account, dailyhunt par account kaise banaye, how to create publisher account on dailyhunt


Dailyhunt Approval Trick 


Jab aap dailyhunt par first time apna creator account create karne ja rahe hote hai. Tab aapko in points ko dhyan me rakhna hai. 

Aapko Fake account se dailyhunt par account nahi create karna hai. Kyoki bahut se log is tarah ki galti karte hai.

Aap jo bhi yahan par link dete hai youtube, blog, facebook, instagram ka vah aapka hi hona chahiye.

Aapke pas Blog hai to usi ka hi url dena hai. Agar yah nahi hai to uske bad hi baki account me se kisi ek ka link de sakte hai.

Jab tak aapko yahan se koi email nahi milta hai tab tak aapko wait karna hai.

Mene bhi 4 days wait kiya tha uske bad muje dailyhunt ka approvel mil gaya tha.

Ek bat yad rahe ki aap yahan par kisi bhi prakar ka scam ya fraud nahi kar sakte. Agar yah karte hai to aapko kabhi bhi approval nahi milega.

Dailyhunt ki team hamare account ko check karegi aur unhe hamara account puri tarah se unique and original laga to uske bad hi hame approval mil sakta hai.



Dailyhunt - Your Account Is Approved 


Jab aapka Dailyhunt publisher account approved ho jata hai tab aapko ek email prapt hoga. Uske bad aapko kya karna hai uske liye niche bataye gay steps ko follow kare. 

Aapko kuch time ke bad dailyhunt ki taraf se ek email milega ki aapka account approved ho gaya hai. Ab us email me dailyhunt login link likha hua dikhega us par click karna hai.

dailyhunt publisher account approved, dailyhunt profile create and complete, dailyhunt par account kaise banaye

Jaise hi aap link par click karte hai to aapko login karne ke liye bola jayega. Ab aapko usi gmail id se dailyhunt account ko login karna hai jis par aapko email mila hai.


Login karne ke bad aapko Profile details complete karne ke liye bola jayega.


Username : Aapko apne Dailyhunt account me jo bhi username likhna hai voh yahn likh sakte hai.

Display Name : Aapka jo bhi name hai jaise ki mera name Bhawani Singh hai. Isi tarah aapko display name me apna name likhna hai.


Half men icon dikhai de raha hai is par click karke aapko apni photo select karke profile me laga deni hai. 

About Me : Isme aapko apne bare me kuch information likhni hai.

Language : Appko jo bhi language aati hai use select karni hai.

Genres : Aap dailyhunt me jo articles likhne vale hai vo kis category me hai voh category select karni hai.


Your Personal Details


Date of birth : Isme aapko apni date of birth selecte karni hai.

Gender : Aap male hai ya female hai vah select karna hai.

Location : Aap kahan rahte hai matlab hai ki aapki city ka name select karna hai.

Email : Yahan par aaoko apni email id deni hai.


Jab Aap Apni Profile details Complete kar dete hain tab aapko niche Submit likha hua hai, Us par click kar dena hai.

dailyhunt publisher account approved, dailyhunt profile create and complete, dailyhunt par account kaise banaye


Jaise hi aap Click karte hai tab aapke samne jo new page open hoga usme aapko yah likhna hai.

Yahan par Phone Number  likha hau dikh raha hai usme aapko vahi mobile number dena hai, jab aapne pahle dailyhunt account create karte time diye the. 

Uske bad Send OTP likha hai us par click kar dena hai. 

Ab aapko apne phone number par 4 digits OTP code milenge. 

Uske bad aapko jo box dikhai dega usme vah code paste kar dena hai. 

Yah sab hone ke bad aaoko Verify likha hua dikh raha hai, us par click kar dena hai. 

dailyhunt publisher account approved, dailyhunt profile create and complete, dailyhunt par account kaise banaye


You Also Read

Youtube Se Paisa Kaise Kamaye
Telegram Se Paise Kaise Kamaye 
Helo App Se Paisa Kaise Kamaye
Vmate App Se Paise Kaise 
Amozon Affiliate Se Paise Kaise Kamaye


Conclusion


Friends hamne aapke sath Dailyhunt Par Apna Publisher Account Kaise Banaye aur Is par jaldi approval lene ke liye kya kare vo bhi trick batai hai. Ummid karte hai aapko yah article jarur pasand aayega. Agar yah information achhi hai to Social media par jarur share karen. 


Tags

dailyhunt 
dailyhunt creator
how to create dailyhunt account
dailyhunt account kaise banaye 
how to create dailyhunt publisher account
dailyhunt creator kaise bane
dailyhunt approval trick 
dailyhunt publisher account kaise banaye 
how to apply for dailyhunt creator
how to create dailyhunt creator accont
dailyhunt creator programe

Previous
Next Post »

4 Comments

Click here for Comments
Rahul sah
admin
10 April 2020 at 12:49 ×

I like this post valuabale post

Reply
avatar
Tezreader
admin
22 May 2020 at 14:28 ×

How to create website like u

Reply
avatar
My Blog
admin
23 October 2020 at 10:55 ×

Bro meine mera website SureJobOnline ke url de ke apply kiya tha abhi tak reply nahi aya. Lekin mera tu apply me time hi OTP verification etc aya tha.

Reply
avatar