YouTube Channel Customize Kaise Kare - Kya aapne new youtube channel Create kiya hai? Lekin aapko channel customize karna nahi aata hai aur aap is bare me kuchh bhi knowledge nahi jante hain.
Hamne YouTube Channel Kaise Banaye is bare me ek article likha hua hai aap chahe to ise read kar sakte hain. Jab tak aap youtube channel ka basic SEO nahi karenge to aapka channel grow nahi ho payega.
Ham Channel to aasani se bana lete hain lekin usme customize nahi karte hain aur video bhi upload kar dete hain to video kabhi bhi viral nahi hoga. Kyo ki jab tak ham basic work nahi karenge tab tak koi kam pura nahi hoga. Isliye aaj ham is article me youtube channel customize kaise karte hain us bare me puri jankari batane vale hai.
How To Customize YouTube Channel?
Aapko to pata hi hoga ki online work me competition badhta hi ja raha hai aur online earning karne ke liye aapne ek youtube channel create kar liya hai. Lekin yahan par apna career ya part time job banane ke liye kuchh alag hi karna hoga tabhi ham yahan par tick payenge.
Isliye aapko apni channel ko achhi tarha se customize karna hoga. Kyo ki bina customize kiye koi bhi channel google search aur youtube ki renking list me kabhi nahi ja payega.
YouTub Channel Customize Kaise Kare?
Youtube channel customize karne ke liye Sabse pahle youtube.com website par jana hai aur mobile me site open ki hai to 3 dot par click karke desktop mode enable kar dena hai.
Iske bad aapko right side me google account icon dikhai dega us par click karte hi kuchh options dikhai denge un options me se your channel likha hoga us par click kar dena hai.
Ab aapko aapki screen par 2 options dikhai denge. Customize Channel And YouTube Studio. Aapko CUSTOMIZE CHANNEL par click karna hai. Agar aapko kuchh samajh me nahi aata hai to niche jo image hai use dekh sakte hain.
Youtube Channel Logo
Aapne jo bhi channel create kiya hai uske liye pahle aapko logo banana hoga. Logo ki size 500px X 500 px rakhni hai. Logo create karna nahi aata hai to Internet par bahut si aisi website and apps hai jo hame channel ke liye professional logo create karke deti hai aap chahe to unki help le sakte hain.
Agar aapne pahle se hi logo create kar liya hai to use apne channel par upload kar sakte hain.
Youtube channel ka logo lagane ke liye aapko apni gmail id ka logo dikhai de raha hai us par click karte hi Pencil icon dikhai dega us par click kar dena hai. Jis tarah se notification dikhai deta hai thikh usi tarah aapko dikhai dega. Usmen aapko Edit likha hoga us par click kar dena hai.
Jaise hi aap click karte hain to aapko profile picture add karne ke liye bola jayega aur uske liye aapko niche pencil icon Change likha hai us par click kar dena hai. Ab aapko apni youtube channel ka logo upload kar dena hai.
YouTube Channel Art
Jab bhi koi new visiter aapki channel par visit karta hai to use sabse pahle channel art dikhai deta hai. Isliye aapko channel art create karna bahut jaruri hai. Youtube channel art ki size 2560px X 1440px tak rakhni hai.
Youtube channel art upload karne ke liye aapko Add channel art likha hua dikhai dega us par click karna hai. Uske bad aapko apne computer ya mobile me file section me jakar aapko vahi image select karni hai jo aapne youtube channel art ke liye banai hai. Is tarah se youtube channel art upload ho jayega.
Yah sab karne ke bad aapko yahan About likha hua dikahi dega us par click kar dena hai.
Channel Description
Channel description open karte hi aapko ek box dikhai dega us par click karte hi box open ho jayega. Us me aapko vahi likhna hai jo aap apni channel par batane vale hai.
Jaise ki hamne example ke liye niche jo iamge diya hai use aap dekh sakte hain. Aapko jo bhi knowledge hai ya jis bhi ek category par channel create kiya hai uske related hi description me information likhni hai. Uske bad Done likha hoga us par click kar dena hai.
Contact Details
Details likha hia uske niche EMAIL FOR BUSINESS INQUIERIS likha hai vahan jo box hai usme aapko apni email ya gmail id deni hai. Fir Done par click kar dena hai. Yah isliye features hai kyoki feature me aapka channel renk karta hai to ya fir aapse koi contact karna chahta hai to email ki help se kar sakte hain.
Uske bad Location ke samne jo box show ho raha hai usme apni Country select kar leni hai.
Social Link
Link likha hai uske niche box par click karte hi Pencil icon open hoga aur aapko us par click karna hoga. Yahan par sirf 5 social links hi add kar sakte hain. Usse jyada nahi.
Agar aapke pas blog Website hai to uska link bhi add kar sakte hain aur youtube se bhi achha traffic mil sakta hai. Social link lagane ke liye Add likha hoga us par click karna hai. Jab aap social links add kar lete hain uske bad Done par click kar dena hai.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye
YouTube Channel Par Subscribers Kaise Badhaye
Subscribe Hide Kaise Kare
Conclusion
Friends ummid karte hain ki aapko yah article YouTube Channel Customize Kaise Kare Step By Step jarur pasand aayega. Isme hamne complete information prapt ki hai. Agar yah helpful lagta hai to ise social media par jarur share karen.
Tags
youtube channel
customize youtube channel
how to customize youtube channel
youtube channel full settings hindi
youtube channel ki setting kaise kare
youtube channel customize kaise kare
how to make youtube channel customize
channel customise kaise kare
youtube tutorial
how to customize channel
how to customize youtube channel in hindi
youtube channel customize karna shikhe
1 Comments:
Click here for CommentsSir mere YouTube channel pr subscriber button nhi aa rha h
ConversionConversion EmoticonEmoticon